Kabhi ruk gaye
Kabhi chal diye
Kabi chalte chalte bhatak gaye,
Yun he umr sari guzaar di yun he zindagi k sitam sahay.
Kabhi neend mein
Kabhi hosh mein
Tu jahan mili
Tujhe dekh kr,
Na nazar mili
Na zuban hili
Yunhi sar jhuka k guzar gaye.
Kabhi zulf per
Kabhi chashm per
Kabhi tere haseen wujood per,
Jo pasand thay
Meri kitab mein
Wo shair sarey bikhar gaye.
Mujhe yaad hai
Kabhi aik thay
Magar aaj hum hain juda juda,
Wo juda huay
To sanwr gaye
Hum juda huay
To bikhar gaye.
Kabhi arsh per
Kabhi farsh per
Kabhi unke darr
Kabhi darbadar,
Ghum-E-Aashiqi
Tera shukriya
Hm kahan kahan se guzar gaye.
Top Class Urdu Ghazal
Reviewed by Nasir king
on
September 21, 2015
Rating: